$$$
भूल कर
स्वभाव अपना ;
शूलों की
देखादेखी
नहीं छोड़ते
डाल को
मुरझाये से
चन्द मासूम
फूल,
नहीं समझ पाते
भोले-भाले
रूठ चुकी है
उनसे भी
मूल.
केवल मात्र
समझ की
भूल.........
(डाल से अर्थ अंध मान्यताओं से है, रुढियों से है, जिनकी व्यावहारिक जीवन में कोई प्रासंगिकता नहीं रही है.)
bhool kar
swabhav apna
shoolon ki
dekhadekhi
nahin chhodte
daal ko
murjhaye se
chand masoom
phool,
nahin samajh pate
bhole-bhale
rooth gayi hai
unse
mool,
keval matra
samajh ki
bhool..........
(Daal se arth andh manytaon aevam roodhiyon se hai jinki vyavharik jeevan men koyi prasaangikta nahin rahi hai.)
Sunday, December 6, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment