Wednesday, January 20, 2010

कड़वाहट और माधुर्य/ Kadwahaht aur Madhurya

$ $ $
नीमझर ने
कहा
मुझ में मीठास
नहीं
कड़वाहट है,
मधुमख्खी बोली
क्यों चिंतित हो
बावरे
मुंह में मेरे
माधुर्य की
तरावट है.....

(नीमझर=नीम का फूल जिस के कडुवे रस को भी मधु मख्खी गृहण कर शहद बना देती है )

Neemjhar ne
Kaha
Mujh men
Meetas nahin
Kadwahat hai,
Madhumakhkhi boli
Kyon chintit ho
Bawre !
Munh men mere
Madhurya ki
Tarawat hai.....

(Neemjhar = neem ka phool jiska kadua ras bhi madhumakhkhi ke grahan karne se madhu-shahad ban jata hai)

No comments:

Post a Comment