Tuesday, July 14, 2009

सामुदायिक आचरण/ Samudayik Aacharan


Nahar
Ghanghor jungle men
Rahta hai akela
Khul kar karta hai
Vicharan.....

Mooshak
Rahten hain
Dharati men
Chhup kar
Apne bil men
Banaakr toli aur
Daudate rahte hain
Kashamakash men;
Bhayakrantata hai yah
Na ki
Samudayik
Aacharan........

नाहर
घनघोर जंगल में
रहता है अकेला
खुल कर करता है
विचरण.....

मूषक
रहतें हैं
धरती में
छुप कर
अपने बिलों में
बनाकर टोली और
दौड़तें हैं
कशमकश में
भयाक्रांतता है यह
ना कि
सामुदायिक
आचरण...........

No comments:

Post a Comment